Showing posts with label Poem. Show all posts
Showing posts with label Poem. Show all posts

Monday, August 28, 2006

ABHI BAHUT DOOR JAANAA HOGAA…


Masjidon se Leker marham Mandiron main lagana hoga...
Ajmer ki mitti se aik aur dhaam banaanaa hoga
Mazhab ki sasti galiyon se nikal ker kahin bahut door jaanaa hoga..
Iss shaakh per aman kay parindo ko abhi tumko laanaa hoga
Abhi bahut door jaanaa hoga… abhi bahut door jaanaa hoga


Faslon ko mitti se nikalker bhook ko mitana hoga..
Banjar zameenon ko nikhaar ker aik naya inquilaab laanaa hoga
Mehnat se falak per iss Hind ko tumko bithana hoga...
Rahe yaad.. aise watan ki chuninda misaal banana hoga
Abhi bahut door jaanaa hoga.. abhi bahut door jaanaa hoga


Taareekh kay panno se nikaalker ganga ko jamuna se milana hoga
Khusrau kay rangon main Tagore ko yuhin basana hoga
Gulmarg ki barf se Kachch ki dhoop ko pighlana hona
Kyunki… Aik din isi mitti main mujhko samana hogaa
Abhi bahut door jaanaa hoga.. abhi bahut door jaanaa hoga.

Ahmad Afzal

Zindagi...






Mulayam haathon ki bani, oon kay golo si saji
Chashmon si behti, Khushboo si behki..
Yehi thi teri Zindagi, yehi thi meri Zindagi

Sabz paidon ki bani, surkh phoolon si saji
Rait kay tilon ki sakhi, Rangon mein rehker paki
Wohi thi teri Zindagi, Wohi thi meri Zindagi

Surme ki aik ladi, chulhe ki raakh si jali
Teri palkon pe saji, meri ankhon main dikhi
Aisi thi meri Zindagi, aisi this teri Zindagi

Maidanon mein khoob pali, naram dhoop ki woh kali

Kapdon main dhaago si sili, Baaton mein sabki dhali

Who Pyaari Zindagi, Aisi thi humari Zindagi


Chalker aayi meri gali, kayi barson ki aisi jhadi
Phisalti, chalti, phir machalti yehi aagey mitti bani
Kyunki yehi thi akeli Zindagi, na hogi dubara Zindagi.

Ahmad Afzal