Mulayam haathon ki bani, oon kay golo si saji
Chashmon si behti, Khushboo si behki..
Yehi thi teri Zindagi, yehi thi meri Zindagi
Sabz paidon ki bani, surkh phoolon si saji
Rait kay tilon ki sakhi, Rangon mein rehker paki
Wohi thi teri Zindagi, Wohi thi meri Zindagi
Surme ki aik ladi, chulhe ki raakh si jali
Teri palkon pe saji, meri ankhon main dikhi
Aisi thi meri Zindagi, aisi this teri Zindagi
Maidanon mein khoob pali, naram dhoop ki woh kali

Kapdon main dhaago si sili, Baaton mein sabki dhali
Who Pyaari Zindagi, Aisi thi humari Zindagi
Chalker aayi meri gali, kayi barson ki aisi jhadi
Phisalti, chalti, phir machalti yehi aagey mitti bani
Kyunki yehi thi akeli Zindagi, na hogi dubara Zindagi.
Ahmad Afzal
Phisalti, chalti, phir machalti yehi aagey mitti bani
Kyunki yehi thi akeli Zindagi, na hogi dubara Zindagi.
Ahmad Afzal
5 comments:
Wow !! Shall come again for detailed comments
tender as a bamboo shoot,warm as a baby's belly,incandescent as a firefly,romantic like keats' poems,visonary like a sage's work....but simple as a lucid dream.
Great poem Afzal!! I always like ur poems, pieces :) despite i didn't understand its hindi meaning I want to thank u for the translation !!! I liked in this poem ur descriptions: the way u describe things, situation, objects...Beautifully created indeed!.. :)
very thoughtful indeed !!!
U have tried to capture the essence of life aesthetically, in the end i would summarize life in these beautiful words.
"tamam umr likhte rahe
phir bhi warq saade rahe
jaane kya alfaz the
jo humse tehreer na hue"
ZINDAGI ke do jahaaN
ik ye jahaaN
ik voh jahaaN
in do jahaaN ke darmiyaaN
bas faasla ik saans ka
jo chal rahi to YEH jahaaN
aur ruk gayi to VOH jahaaN
I liked your nazm, Afzal..
--Aisha
Post a Comment